Wednesday, August 3, 2011

Wafa Jo Na Ki

A year and a day ago my Chacha passed away. The only thing I used to have in common with him was his love of hindi music when he was young. Finding "Wafa Jo Na Ki" on a vinyl record of his when I was a little one was such a treasure find to me. And then again finding another stanza in a DVD version was almost too much to take. I had only known the cassette version of Muqaddar Ka Sikandar and this song was not on it. It was also not on the initial releases of the CD. Few years back, it was finally slapped on a CD. Holding out hope that someday this song will appear in it's entirety on a CD. Here are the full lyrics as far as I know them, drawing from both soundtrack and film versions - different cuts of the film have different versions too. One of my favorite mujras.



Film: Muqaddar Ka Sikandar

Singers: Hemlata
Lyrics: Anjaan
MD: Kalyanji - Anandji
not on soundtrack version



Manzur Nahin Meri Mohabbat Tau Kya Hua,
Ae Dost, Dushmani Hi Nibhaane Ke Liye Aa
Maana Tere Karam Ke Tau Qabil Nahin Rahe
Aa Mere Dil Pe Zulm Hi Dhaney Ke Liye Aa


Wafa Jo Na Ki Tau Jaffa Bhi Na Ki Jiye
Wafa Jo Na Ki Tau Jaffa Bhi Na Ki Jiye
Sitam, Jaan-e-Man, Eis Tarah Bhi Na Ki Jiye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Wafaaa aaa aaa


Tumhe Jab Se Dekha Mujhe Yun Laga
Ke Kashti Ko Ab Nakhudah Mil Gaya
Ibadat Mere Dil Ne Ki Eis Tarah
Mere Dil Ko Jaise Khudah Mil Gaya
Dua Jo Na Di, Bad-dua Bhi Na Di Jiye
Sitam, Jaan-e-Man, Eis Tarah Bhi Na Ki Jiye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Wafaaa aaa aaa


Nahin Ishq Hum Se, Nahin Na Sahi
Humein Ishq Tum Se Hai Hum Kya Karre
Hai Marr Marr Ke Jeene Ki Aadat Humein
Tumhari Bhala Se Jeeye Yaan Marre
Bhala....
Bhala Na Kiya Tau, Burra Bhi Na Ki Jiye
Sitam, Jaan-e-Man, Eis Tarah Bhi Na Ki Jiye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Ke Marne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Wafaa aaa aaa

Wafa Jo Na Ki Tau Jaffa Bhi Na Ki Jiye
Sitam, Jaan-e-Man, Eis Tarah Bhi Na Ki Jiye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye
Ke Marrne Ki Tamanna Mein, Kehin Jee Na Jaye

Wafaa aaa aaa