Wednesday, November 2, 2011

Ke Chand Sa Koi Chehra


This long lost 'filmi qawwali' made an appearance on the Sholay LP but was omitted from subsequent releases on cassettes and CDs until I believe the 2004 Universal Music India digipack (digipak) release of the Sholay OST and the 2005 "Back to Black" digitally remastered vinyl replica CD. 

According to Anupama Chopra's book "Sholay, The Making of a Classic", this 'filmi qawwali' was done in the Bhopali style of Chaar Bhaand - "a composition sung by four groups, instead of the qawwali's traditional two, with the audience enjoying the exchange sitting in the middle." Truly when you listen to this track, the vocals shift channels and you feel as if you are in the middle of the mehfil and the singers are singing and debating back and forth around you.

I recently watched this classic in superb quality, read more about that here ;)



Film: Sholay
Singers: Anand Bakshi  Bhupinder  Kishore  Manna Dey
Lyrics: Anand Bakshi
MD: Rahul Dev Burman


Shuru Hota Hai Phir Baaton Ka Mausam
Shuru Hota Hai Phir Baaton Ka Mausam
once again begins the season of conversation
Suhaani Chandni Raaton Ka Mausam
 the season of beautiful moonlit nights
Bujhaye Kis Tarah Dil Ki Lagi Ko?
 how will I extinguish my heart's addiction?
Lagaye Aag Hum Eis Chandni Ko
 I'll set fire to this moonlight

Ke Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Arz Kiya Hai. Irshaad. Haye.
Ke Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
without a moon-like face by my side
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata 
 I take no delight in the moonlight
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
O Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
if after drinking wine, an intoxicated person does not stumble
Tau Maikashi Ka Maza Nahin Aata
he takes no delight in inebriation
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
Tau Maikashi Ka Maza Nahin Aata
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho


Zindagi Hai Muqammal, Adhuri Nahin
Zindagi Hai Muqammal, Adhuri Nahin
life is complete, not incomplete
Chand Sa Koi Chehra Zaroori Nahin
a moon like face is not necessary

Husn Saiyad Hai, Ishq Fariyad Hai
beauty is a hunter (birdcatcher),  love is a cry for help
(husn=beauty=female, ishq=love=male)
Yeh Jo Do Naam Hai, Dono Bad-naam Hai
these two names, both are disreputable
Tum Tau Nadaan Ho, Gham Ke Mehmaan Ho
you are naive, a guest of sadness
Dil Zara Thaam Lo, Akal Se Kaam Lo
hold on to your heart, use reason

Agarche Roshni Hoti Hai Sahib Sab Chiraaghon Mein
though there be light in all lamps
Zara Sa Fark Hota Hai, Dilon Mein Aur Dimaaghon Mein
there are differences between hearts and minds
Ae Mere Doston Akal Ko Chhod Do, Baat Dil Ki Karo
my friends, leave reason behind, talk about your heart
Kyun Ke
because
Sher Dil Ko Na Tadapake Rakh De Agar
Sher Dil Ko Na Tadapake Rakh De Agar
if a poem does not make the heart suffer
Tau Shayari Ka Maza Nahin Aata
there is no delight in poetry
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata 
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
Tau Maikashi Ka Maza Nahin Aata
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho


Sharbati Aankh Ke Dushmano Se Bacho
Sharbati Aankh Ke Dushmano Se Bacho
save yourself from the sherbet-like eyed enemy
Reshmi Zulf Ki Uljhano Se Bacho
save yourself from the tangles of silky hair
Woh Gali Chhod Do, Yeh Bharam Tod Do
vacate that street, break this illusion
Yun Na Aahein Bharo, In Se Tauba Karo
don't sigh so heavily, renounce them
Yeh Jo Dildaar Hai, Sab Sitamgar Hai
these beloved ones, they are all tyrants
Dil Jo Dete Hai Yeh Tau Jaan Lete Hai Yeh
they take the lives of those who give their hearts to them

Wafa Ke Naam Ko Aashiq Kabhi Rusvah Nahin Karte
lovers never disgrace the name of love
Katta Dete Hai Woh Gardan Magar Shikwa Nahin Karte
they would have their necks cut off but would not complain
Dil Machal Jaane Do, Tir Chal Jaane Do, Dam Nikal Jaane Do
let your heart flip flop, let the arrows fly, let your breath leave
Maut Se Aadmi Ko Agar Darr Lage
Maut Se Aadmi Ko Agar Darr Lage
if a man is afraid of death
Tau Zindagi Ka Maza Nahin Aata
he can take no delight in life

Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata 
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
Tau Maikashi Ka Maza Nahin Aata
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho


Ishq Mein Yaad Kuch Hor Hota Nahin
one cannot remember anything else in love
Ishq Ke Baad Kuch Hor Hota Nahin
there is nothing else after love
Aashiqui Khoob Ki, Dil Se Mehboob Ki
fell deeply for my beloved
Yaad Jaati Nahin, Neend Aati Nahin
can't forget, no sleep
Dard Khilta Nahin, Chain Milta Nahin
no pain relief, no peace
Ae Khuda Kya Kare, Hum Dawa Kya Kare?
oh God what to do, what medicine to take?

Dawa Dard-e-Jigar Ki Poochte Ho Tum Zamaane Se
you are asking for medicine for your painful liver (heart) from the world
Yeh Dil Ki Aag Bujhti Hai Faqat Aansoo Bahaane Se
the fire of the heart will only be put out by your tears

Yeh Sitam Kis Liye, Gham Ho Kam Kis Liye, Roye Hum Kis Liye
why this tyranny? why should sadness abate? why should I cry?
Aag Par Koi Paani Agar Dal De
Aag Par Koi Paani Agar Dal De
if someone pours water on fire
Tau Dil Lagi Ka Maza Nahin Aata
one cannot take delight in the heart's addiction
Aag Par Koi Paani Agar Dal De
Tau Dil Lagi Ka Maza Nahin Aata

Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata 
Jaam Pee Kar Sharaabi Na Ghir Jaaye Tau
Tau Maikashi Ka Maza Nahin Aata
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho
Tau Chandni Ka Maza Nahin Aata 
Chand Sa Koi Chehra Na Pehlu Mein Ho

2 comments:

Nishma said...

Thank you!! I've been looking for this. Some it I figured out, but some it was a mystery.

deewani said...

You are very welcome. :)