Saturday, November 29, 2008

Tum Ko Salaam Hai

at the request of Z

Film: Aasha
Singers: Lata Mangeshkar, Rafi
Lyrics: Anand Bakshi
MD: Laxmikant - Pyarelaal



Ek Din Bahaar Ne Phoolon Se Yeh Kaha:

one day the landscape said to the flower

Kaanton Ki Nauk Par Khilte Ho Tum Magar

you bloom at the edge of the thorn, yet

Hanste Ho Jhoom Kar, Zakhmon Ko Choom Kar

you laugh, spinning and kissing your wounds

Insaanon Ke Liye, Deewanon Ke Liye,

for all mankind, for all the mad/crazy ones

Mushkil Yeh Kaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

that is a difficult task, I salute you

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai


Ohhh, Tum Ko Salaam Hai

Ohhh, Tum Ko Salaam Hai


Kahiye Sahibaan, Yeh Dastaan Kaisi Lagi?

tell me sir, how did you like this story?

Yeh Dastaan Nahin, Haan Haan, Ji Haan, Nahin,

this is not a story, yes, yes, it is not

Koi Paiyaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

it is a message, I salute you

Koi Paiyaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai


Afsos Kya…

Afsos Kya, Ke Dil Khushiyon Se Tha Bhara

what sorrow, the heart was full of joy

Thoda Sa Yeh Agar Chalka Tau Kya Hua?

if a litle of it spills over, so what?

Thoda Sa Yeh Agar Chalka Tau Kya Hua?

Aadha Chalak Gaya, Khali Nahin Hua

only half has spilled, it is not empty

Aadha Bhara Hua Abhi Yeh Jaam Hai

half of this cup is still full

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Koi Paiyaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai


Tum Ne Tau Bas Mujhe….

Tum Ne Tau Bas Mujhe Jeena Seekha Diya

you have taught me how to live

Jalwa Dikha Diya, Parda Utha Diya

you showed me your countenance, you lifted your veil

Jalwa Dikha Diya, Parda Utha Diya

Har Zakhm Daagh Hai, Har Gul Chiraag Hai

every wound is a blemish, every flower, a lamp

Maalik Dimaagh Hai, Dil Tau Ghulaam Hai

the mind is the master, the heart is a slave

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai


Eis Zindagi Ko Tum…

Eis Zindagi Ko Tum Thoda Sa Pyar Do

give this life a little bit of love

Gham Ke Bhi Raat Din Hans Kar Guzar Do

laugh away sorrow filled nights and days

Gham Ke Bhi Raat Din Hans Kar Guzar Do

Kyun Ke Yeh Zindagi, Ae Mere Humnasheen,

because this life, my companion,

Koi Sazaa Nahin, Yeh Ek Inaam Hai

is not a sentence, it's a reward

Tum Ko Salaam Hai, Koi Paiyaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Koi Paiyaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Tum Ko Salaam Hai

Tum Ko Salaam Hai, Sab Ko Salaam Hai

No comments: