Sunday, December 7, 2008

Lo Sahib Phir Bhool Gayee Main

As requested by Z.

Film: Maati Maangey Khoon
Singers: Lata Mangeshkar
Lyrics: Anand Bakshi
MD: Rahul Dev Burman

Yaadon Ke Chund Phool, Nazar Mein Khile Tau Hai
a few flowers of memory have bloomed in my sight
Pehle Bhi, Hum Se Aap, Kehin Par Mile Tau Hai
you have met me somewhere before
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main
sir, I have forgotten again
Ho, Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main
Yaad Mujhe Kuch Aaya Tha
I had just remembered something
Aap Ko Jaane Maine Apna Kaun Sa Naam Bataya Tha
I don't remember which name I gave you before
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main

Khul Gaya Ghoonghat, Uth Gaya Pardah,
the scarf has opened, the veil has lifted,
Mushkil Ab Deedar Nahin
it is not difficult to steal a glimpse now
Khul Gaya Ghoonghat, Uth Gaya Pardah
Mushkil Ab Deedar Nahin

Ab Dekho,
Ab Beech Mein Apne. Koi Bhi Deewar Nahin,
now look, there is no wall in between us now
Mera Asli Roop Yehi Hai...
Ho, Mera Asli Roop Yehi Hai, Woh Tau Mera Saaya Tha
this is my true face, that was just a shadow
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main
Yaad Mujhe Kuch Aaya Tha
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main

Kab Tak Jaane, Saath Hamare, Chhoti Si Yeh Raat Chale
who knows how long this short night will favor us
Kab Tak Jaane, Saath Hamare, Chhoti Si Yeh Raat Chale
Poori Baat Kahe Dil Ki Tau Barson Talak Yeh Baat Chale
if we tell the whole story of our hearts, this conversation will last many years
Ek Nazuk Sa Sheesha Tha Jo...
Haye, Ek Nazuk Sa Sheesha Tha Jo Patthar Se Takraya Tha

it was a delicate mirror that was struck by a stone

(often the heart is compared to a mirror)
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main
Yaad Mujhe Kuch Aaya Tha
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main

Allah Allah, Tauba Tauba, Yeh Jazbaat, Haye Haye
O God, heaven forbid, these feelings, O my
Allah Allah, Tauba Tauba, Yeh Jazbaat, Haye Haye
Maana Apni Mehfil Mein Tum Apni Marzi Se Aaye
I know that you came into my gathering on your own
Aaisa Lagta Hai Jaise Ke...
Haye, Aaisa Lagta Hai Jaise Ke Maine Tumhein Bulaya Tha
(but) it seems as if I had invited you
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main
Yaad Mujhe Kuch Aaya Tha
Aap Ko Jaane Maine Apna Kaun Sa Naam Bataya Tha
Lo Sahib, Phir Bhool Gayee Main

No comments: