Sunday, December 7, 2008

Main Ghoonghat Na Kholungi

As requested by Z.

Film: Maati Maangey Khoon
Singers: Lata Mangeshkar
Lyrics: Anand Bakshi
MD: Rahul Dev Burman

Main Ghoonghat Na Kholungi Tau...
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi
if I don't open my veil, I will burn up in it
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi
Aurat Se Aaj Main Tawaif Ban Ke Tujhe Dekhaungi
today I will show you how this woman turns into a courtesan
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi

Izzat Jaati Hai Tau Jaaye, Tauhamat Aati Hai Tau Aaye
if respect is to be lost, let it be lost, if a scandal is to come, let it come
Izzat Jaati Hai Tau Jaaye, Tauhamat Aati Hai Tau Aaye
Ja Le Aa Tu Kehin Se Ghunghroo
go, bring some anklet bells from some where
Laaj Ko Chhad Ke, Gaa Ke, Nach Ke Rootha Yaar Manaungi
leaving behind modesty, I will sing and dance to appease my displeased friend
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi

Bairan Ke Ghar, Saawan Barse
it rains at the enemy's house
Mujh Birhan Ka Man Kyun Tarse?
why does my (the separated one's) heart suffer?
Bairan Ke Ghar, Saawan Barse
Mujh Birhan Ka Man Kyun Tarse?
Dal Ke Kajra, Baandh Ke Gajra,
wearing kohl, tying a garland
Aaj Se Main Apni Souten Ki Soutaniya Ban Jaoungi
today I will become a rival of my rival
(Souten, hard to translate, it can be taken to mean mistress but it works both ways. Where there are 2 women and 1 man, especially if there is a married couple involved, a souten is the 2nd woman or mistress, but the relationship of the mistress to the wife is also that of a Souten. In this sentence the woman, who is the mistress by virtue of being the courtesan, is basically saying now she will be the main squeeze and the other woman will be the mistress).

Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi

Main Sheeshe Ki Nazuk Gudiya, Main Jaadu Ki Bandh Si Phuriya
I am a fragile doll made of glass, I am a closed bundle of magic
Main Sheeshe Ki Nazuk Gudiya, Main Jaadu Ki Bandh Si Phuriya
Ghul Jaoungi, Khul Jaoungi
Khul Ke Do Nainon Ke Prem Tarazu Mein Tull Jaoungi
I will open up and be weighed on the scales of love belonging to two eyes
(that was an awkward sentence, lol)
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi
Aurat Se Aaj Main Tawaif Ban Ke Tujhe Dekhaungi
Main Ghoonghat Na Kholungi Tau Ghoonghat Mein Jal Jaoungi

No comments: