As requested by Z, an entirely dreamy love song
Film: Ghar
Singers: Lata Mangeshkar
Lyrics: Gulzar
MD: Rahul Dev Burman
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
these days my feet do not touch the ground
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tum Ne Mujhe Ud-thay Huye?
tell me, have you ever seen me flying?
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Jab Bhi Thaama Hai Tera Haath, Tau Dekha Hai
whenever I've held your hand, I've seen it...
Jab Bhi Thaama Hai Tera Haath Tau Dekha Hai
Log Kehte Hai Ke Bas Haath Ki Rekha Hai
people say that it's just a line on a hand
Hum Ne Dekha Hai Do Taqdeeron Ko Judh-thay Huye
I've seen two fates joining
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tum Ne Mujhe Ud-thay Huye?
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Neend Si Rehti Hai, Halka Sa Nasha Rehta Hai
Raat Din Aankhon Mein Ek Chehra Basa Rehta Hai
a bit of sleepiness resides, a light intoxication/buzz resides, night and day a face resides in my eyes
Parr Lagi Aankhon Ko Dekha Hai Kabhi Ud-thay Huye? Bolo.
have you ever seen 'eyes with wings attached' (winged eyes) ever flying, tell me?
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Bolo Dekha Hai Kahbi Tum Ne Mujhe Ud-thay Huye?
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Jaane Kya Hota Hai, Har Baat Pe Kuch Hota Hai
I don't know what happens, something happens in every instance
Din Mein Kuch Hota Hai, Aur Raat Mein Kuch Hota Hai
in the daytime something happens and in the nighttime something happens
Thaam Le Na Jo Kabhi Dekho Humein Ud-thay Huye
hold me (down) if you ever see my flying away
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte Mere
Bolo Dekha Hai Kahbi Tum Ne Mujhe Ud-thay Huye?
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padhte...
No comments:
Post a Comment